tehzeeb e lucknow ka kya hoga


Aj kal lucknow ka adab khatre main hota ja rha jo lucknow puri duniya main adab ke liye mashoor tha aj wahi lucknow apni pehchan ek aise sahar main bana rha hai jisa ka naam adab se kafi door hota ja rha aj hum jab ghar se nikal te hain to hum ko wo lucknow nazar nhi ata hai jo lucknow kabhi hoa karta tha aj app kisi bhi lucknow ke chourahe par jaye aur app ko koi gali bakta na nazar aye aisa ho nhi sakta wo ye bhi bool jate hain ke pass main koi mohtarma hain ya koi bahan bhi hai unko gali se matlab rehta hai shayd wo ye nhi jante jis maa ko wo gali dete hai us maa ne hi unko paida kiya hai app lucknow ki kisi taxi main jab safar karen ge to app ko galiyon ki nazam sunai degi har tarf is sahar main galiyon ki ek quiz si nazar ane lagti hum tum se zyada bak sak te hum tum se so abhi bhi jo lucknow main ata hai wo theek se lucknow ko nhi dekh pata hai yhan ka adab ab sirf kitabon main baqi reh jayega agar is ko baqi rakhna hai to app hum ko iske liye kuch karna hoga had to ye ho jati jab app kisi taxi main safar kar rhe ho aur taxi ka driver kisi se kisi bat par lad jaye aur usko ye bhi nhi dikhta tha hai ke taxi main khwateen bhi hai aisa hi kuch mere sath hoa tha jab main ek taxi main tha to hum ko bhout ajeeb sa feel hoa tha to un mohtarma ko kaisa feel hoa hoga wo gali sunke jo wo kisi ko de rha tha

Comments